Mirza Asadullah Khan Ghalib:

  • Please visit A Desertful of Roses

    Yeh Na Thi Hamaari Kismat

    yeh na thi hamaari qismat ke visaal-e-yaar hotaa,
    agar aur jeete rahte yehi intizaar hotaa.

    tere waade par jiye ham, to yeh jaan jhooT jaanaa,
    ke khushi se mar na jaate agar atbaar hotaa.

    tire naazukii se jaanaa kih bandhaa thaa `ahd bodaa
    kabhii tuu nah toR saktaa agar ustavaar hotaa

    koi mere dil se puchhe tere tiir-e-niim kash ko,
    ye khalish kahaan se hoti jo jigar ke paar hotaa.

    yeh kahan ki dosti hai ke bane hai dost naasih
    koi chaara saaz hotaa, koi ghamgusaar hotaa

    rag-e-sang se tapakta, vah lahu, ke phir na thamta
    jise gham samajh rahe ho, yeh agar sharaar hota

    gham agarche jaan gusal hai pe kahan bachen ke dil hai
    gham-e-ishq gar na hotaa, gham-e-rozgaar hotaa.

    kahun kis se main ke kya hai, shab-e-gham buri bala hai
    mujhe kya bura tha marna agar ek bar hotaa.

    hue mar ke ham jo ruswa, hue kyon na gharq-e-daryaa,
    na kabhi janaazah uThtaa, na kahin mazaar hotaa.

    use kaun dekh sakta, ke yagaana hai voh yaktaa
    jo duii ki buu bhi hotii, to kahiin do chaar hotaa.

    yeh masaail-e-tasawaf, yeh tera bayaan, Ghaalib,
    tujhe ham walii samajhte jo na baada khwaar hotaa.

    For translations over the years
    For literal, accurate translation and explication there can be no better place than Professor Frances Pritchett's wonderful website -- the universe's definitive resource on Ghalib's Urdu work


    | Back to Translations | Back to Home Sonny: An Introduction | Back to Poetry Page | Feedback Mail Me
    Sonny (Sundeep Dougal) Holden Caulfield, New Delhi, INDIA